Sher-O-Shayri

Kitna bhi chaho na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge
Humein mita sakte ho to mita do
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein.


Apni Saansoan Mein Mehakta

Apni sanasoan mein mehakta paya hai tujhe,
har khawab me bulaya hai tujhe,
kyu n kare yad tujh ko
jab khuda ne hamare liye banaya hai tujhe.


Khuda Se Ek Dua Mangi
 
Humne Khuda Se Ek Dua Mangi
Dua Me Apni Mout Mangi
Khuda Ne Kha Mout To Tuje De Du
Fir Use Kiya Khu Jisne Teri Lambi Umar Ki Dua
Mangi


Justaju Tumhe Pane Ki


Justaju hai tumhe pane ki,
Jarurat nahi kisi bahane ki,
ab dur na raho, mita do ye duriyan,
maan lo baat apne diwane ki.


Dil Lagana Chod Diya


Dil lagana chod diya maine,
aanso bahana chod diya maine .
bahut kha chuke dhokhe sanam pyar main,
muskurana isliye chod diya maine.


Jal Raha Hai Dil Mera


Jal raha hai dil mera kyunki kal teri sagai hai,
Jal raha hai dil mera kyunki kal teri sagai hai;
Aur is jalte dil ko dekhke,
Uspe papad sekhne aai hai??


Roj Humse Baatein Kiya Karo


Yuhi roz humse baatein kiya karo ki dil khush ho jaye,
Yuhi roz humse baatein kiya karo ki dil khush ho jaye;
Baatein baatoan mein chummeh deh diya karo,
Ki gham bhool jaye!!!


Kismat Se Shikayat


Kismat se apni mujko hamesha Shikayat rahegi,
Jo nahi mil sakta usse mohabbat hamesha rahegi,
kitne hi kyun na aa jaye raho mein,
Phir bhi dil ko usi se chahat rahegi.


Pyar Mein Azmaish


Azmaish pyar mein zaruri hoti hai,
Na mil pana kisi ki Majburi hoti hai,
Yaad dur se toh App kar sakte hai,
Lekin dil ki hasrat milne se puri hoti hai.


Khushbuon Ka Ehsaas


khushbuon ka to ehsaas hi hota hai,
Dil to Dil ke pass hota hai,
har baat ko juban se kehna mumkin nahi,
sache pyaar ki pehchaan to bas vishwaas hota hai.


Mita Diya Khud Ko


Mere pyar ko duniya me koi samajh na paya,
Rote the jab tanha koi mere sath na aya,
Mita diya khud ko uske pyar me,
Aur kehte hai log mujhe pyar karna nahi aaya.


Ruthe Hue Meet
Ruthe hue meet tujhe manau kaise,
Bigdi hui hai takdeer banau kaise,
Dil ke har kone mai naam hai tera,
ye Dil cheer ke tujhe dikhau kaise.
















Arz-o-sama kahan teri usat ko pa sake,
Ek mera hi dil hai jahan tu sama sake,
Wahdat ka teri kya hurf-e-dui la sake,
Aina kya majaal jo tujhe mooh dikha sake.


Kufr bakte hain woh jo kehte hai,
Izhaar-E-Mohabbat ko do labj hi kaafi hai,
Kisi Kafir se suna tha shayad,
Nazre bhi kaha karti hain!


Tumhare pyaar mai hamne bahut chote khaye,
Jiska hisaab na hosake utne dard paye,
Phir bhi tere pyaar ki kasam khake kehta hu,
Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye. 


Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote……
Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote…..
Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote…..
Chand to tu hai hi ..sitaare bhee saath hote !!!


PYAR K PHOOL MERE DIL ME KHILANE WAALE.
AB TO AAJA MERI NEEDEN CHURANE WALE.
MAI TERE NAAM KI TASWEEH PADHA KARTA HOON.
MUJHKO ASHIQE SAMAJHTE HAIN YE ZAMAANE WAALE.
HO SAKE TO IN GULAABON KO HAWAAON SE BACHAYE RAKHNA.
MERE KHAT APNI KITAABON ME CHUPAANE WAALE..................


Muhabbat ki kahani me
koi tarmeem mat krna
Mujhe tum tor dena
pr mujhe takseem mat krna
Mujhe chorna hy to
... chaly jao lekin
ksi or ka ho k
mujhe GHAMGEEN mat krna
Meri mout ka sabab bany gi teri bewafai
Dunya walon k samny
ye taslem mat krna
Mere bad tere lye
sari dunia baqi hy
Mere sath guzry haseen pal
zehen'nashen mat krna



Us dilse pyaar karo jo tumhe dard de,
Par us dil ko kabhi dard na do jo tumhe pyaar kare
Kyun ki tum duniya k liye koi ek ho
Par kisi ek liye sari duniya ho tum



Mere Wajood ki jaagir


Mere wajood ki jaagir isne maangi hai
ajab khuab ki taabir isne maangi hai


iski kaid men rehti hun mai pehle bhi?
naa jaane kiu zanzeer isne maangi hai


gumaan hota hai bool sakta hai mujhe
kiuki aaj meri tasweer isne maangi hai


mere khuda mujhe iske naseeb men likh de
ke mujhse meri hi taqdeer isne maangi hai..


Har Dil Me.....


HER DIL MAI ARMAAN ZINDA HAI
DOLAT SE INSAAN ZINDA HAI
IS DONYA MAI WO HE DOLAT MAND HAI
JIS KE AB TAK MAI ZINDA HAI



Woh ik zaat se apna


Woh ik zaat se apna ajeeb naata hai
Mein jab bhatakta hon, woh rasta dikhata hai

Sawad-e-shab mein bhi roshan hai rasta mera
Woh chand ban ke mere sath sath chalta hai

Yeh sozo saaz, yeh tabindagi, yeh haala jaan
Koi chirag ki soorat mujhe jalata hai

Mein kho bhi jaaon agar zindagi ke mele mein
Woh meherbaan mujhe phir se dhoond lata hai

Fakeeha sheher ko maloom hi nahin amir
Woh rasta jo dilon se guzar ke jata hai
 


Woh kareeb hi nahi aaye 

Woh kareeb hi nahi aaye to izhar kya karte,
Khud bane nishana to shikar kya karte,
Mar gaye par khuli rahi aankhein...
Is se zyada kisi ka intezar kya karte. 

Khud par itna naaz hai 

Unhein jo khud par itna naaz hai to ismein kuchh ghalat bhi nahi,
Ke jis ko hum chahein, woh kyon na khud par naaz kare.  

Intezar kyon hota hai

Jo nahi aata uska intezar kyon hota hai?
Kisi ke liye apna yeh haal kyon hota hai?
Waise to duniya mein kafi cheezein pyari hain,
Jo nahi milta usi ka intezar kyon hota hai. 

Naa Jaane Kyn


Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,

Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.

 Na tarapta dil

Na tarapta dil, Na roti Aankhein, Na labon pe naam koi or hota,,,
hum teri tamanna hi kyun karte agar tere jesa koi or hota


 khareed sakte unhe
  
khareed sakte unhe toh apni zindagi dekar bhi khareed lete,,,
par kuch log “KEEMAT” se nahi “KISMAT” se mila karte hain…!!